Home Health
Your Health Is Your Power
Gharmai ke Mosam ke Liye Health Tips
Pani zyada piyen
Har din kam az kam 8-10 glass pani piyen. Garmi mein pasina zyada aata hai, isliye pani ki kami se dehydration ho sakta hai.Thandi aur halka khana khayen
Dahi, kachumber, seasonal fruits (tarbooz, kharbooza, aam) aur salad ka istemal zyada karein. Biryani, fried aur spicy food se parhez karein.Dhup se bachen
11 bajay se 4 bajay tak ki dhup se bacha karein. Bahar nikalte waqt topi ya chhata zaroor lein aur halka kapra pehnein.Skin ka khayal rakhain
Sunscreen ka istemal karein taake suraj ki shua’on se skin kharab na ho. Multani mitti ya aloe vera gel bhi skin ko thanda rakhta hai.Nimbu pani ya lassi piyen
Natural drinks jese nimbu pani, lassi, ya sattu dehydration se bachate hain aur energy dete hain.Thakan aur chakkar se ho jaayein hoshiyar
Agar garmi mein chakkar aayein, thakan ho ya paseena ruk jaye to ye heatstroke ki nishani ho sakti hai. Aise mein foran thandi jagah jayein aur pani piyen.Room temperature ya halki thandi cheezein istemal karein
Bohat zyada thandi cheezein (jaise baraf wala pani) ekdam se peena gala aur pait dono ko nuksan de sakta hai. Naram aur room temperature drinks behtar hoti hain.Kapdon ka intekhab soch samajh kar karein
Cotton aur halka rang (white, beige) garmi mein behtar hota hai. Yeh kapde hawa guzarte hain aur pasina jaldi sukhate hain.Exercise subah ya shaam mein karein
Garmi ke mosam mein rozana exercise karna acha hai, lekin dhoop mein nahi. Subha jaldi ya shaam ko thandi hawa mein karna behtar hai.Ghar mein hawa daari barqarar rakhein
Ventilation ka khayal rakhein — agar AC nahi hai to pankhay aur khidkiyon ka sahi istemal karein. Ghar ko thanda aur airy rakhein.Bachon aur buzurgon ka zyada khayal rakhein
Yeh dono age group garmi se zyada mutasir ho sakte hain. Inhein time par pani pilana, halki diet dena aur dhup se door rakhna zaroori hai.Oral hydration salts ka backup rakhein
Agar kisi ko zyada pasina aaye ya dehydration ho jaye to ORS ka istemal foran faida deta hai.